http://i93.photobucket.com/albums/l80/bigrollerdave/flash/sign.swf" quality="high" wmode="transparent"

Tuesday, November 2, 2010

DIPAWALI ME YAH BATE JARUR KARE

Param Pujya SadGurudev dvara gat varshon mein Diwali ke samay bataai gayee kuch baatein aapke saamne rakhney ka prayaas kar raha hoon...


1. Diwali aaye to Chaaval ka aata aur Haldi milaakar svastik banaa lena ghar ke (mukhya) dvar par. Is se Grah dosh door hoga aur Lakshmi sthir hogi. (Baraut Satsang 20th Sep'10)

2. Deepavali ke din laung (clove) aur ilaaichi (cardamom) ko jalaakar raakh kar dein; us se phir Gurudev (ki photo) ko tilak karein; Lakshmi-praapti mein madad milti hai, barkat hoti hai...

3. Kartik Maas mein yeh baatein karni chahiye (bahut laabh hota hai) -

a) Tulsiji ki mitti ka Tilak, b) Gangaji ka snaan, athva to prabhaat ka snaan (before sunrise), c) Brahmcharya ka paalan, chatoraapan na ho, d) Dharti par shayan...

4. Pooja ke sthaan par mor-pankh (peacock-feather) rakhney se Lakshmi-praapti mein madad milti hai...

5. Tulsi ke paudhey ke aagey shaam ko diya jalaaney se Lakshmi vridhhi mein madad milti hai; Gurudev ne yeh bhi kaha ki Lakshmiji ko kabhi Tulsiji nahin chadhaayee jaati, unko kamal (lotus) chadhaaya jaata hai...

6. Deepavali ki sandhya ko Tulsi ji ke nikat diya jalaayein, Lakshmiji ko prasann karne mein madad milti hai; Kartik maas mein Tulsiji ke aagey diya jalaana punya-daayi hai, aur praatah-kaal ke snaan ki bhi badi bhaari mahima hai...

7. Deepavali, janam-divas, aur nootan varsh ke din, prayatn-poorvak satsang sunna chahiye;

8. Deepavali ki raat ka jap hazaar guna fal-daayi hota hai; 4 maha-raatriyan hain - Diwali, Shivratri, Holi, Janmashtami - yeh sidhh raatriyaan hain, in raatriyon ka adhik se adhik jap kar ke laabh lena chahiye...

9. Deepavali ke baad aaney wali Dev-jagi Ekadashi ke din (17th Nov'10), sandhya ke samay kapoor (camphor) se aarti karne se aajeevan akaal-mrityu se raksha hoti hai; accident, aadi utpaaton se raksha hoti hai...


10. Deepavali ke next day, nootan varsh hota hai (New Year); us din, subah uthh kar thodi der chup baith jaayein; phir, apne dono haathon ko dekh kar yeh prarthna karein:

Karaagrey vasate Lakshmi, kar-madhyeye Saraswati, Kar-mooley tu Govindah, prabhaatey kar darshanam..

Arthaat - Mere haathon ke agrah bhaag mein Lakshmi ji ka vaas hai, mere haathon ke madhya bhaag mein Saraswati ji hain; mere haathon ke mool mein Govind hain, is bhaav se apne dono haathon ke darshan karta hoon...

Phir, jo nathuna chalta ho, wohi pair dharti par pehle rakhein; Daaya chalta ho, to 3 kadam aagey badhaayein, right pair se hi; baaya chalta ho, to 4 kadam aagey badaayein, left pair se hi;

11. Nootan varsh ka din jo vyakti harsh aur anand se bitaata hai, uska poora varsh harsh aur anand se jaata hai; (isliye hum sabhi saadhak 7th Nov'10 ko is baat ki sambhaal lein, ki yeh din harsh aur ullaas ke saath vyateet karein, Gurudev ka Satsang sun-ney, aur thoda jap jaada karne ka prayaas karein)... 

No comments: